Sabban Bhai Auto Parts

Sabban Bhai Auto Parts Sabban Bhai's Automotive Store
At Bairad Shivpuri (MP)

05/02/2017

*अपने घराने का एक-एक फर्द दे दिया दीन के खातिर,*
*हम ऐसे बादशाह "हुसैन" को अपना सुल्तान रखते है..!!*

*लब्बैक या हुसैन* 🙏🏼
(रदि अल्लाहो अन्हो)

12/01/2017

🌹Hadees e Paak🌹
Allah ke waliyon se Mohabbat

Hazrat Abu Hurairah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ney Farmaya :
Jab Allah Ta’ala Kisi Bandey Sey Muhabbat Karta Hai To Hazrat Jibra’il عليه السلام Ko Aawaaz Deyta Hey Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Se Muhabbat Rakhta Hey, Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo Phir Hazrat Jibra’il عليه السلام Us Sey Muhabbat Karta Hain. Phir Hazrat Jibra’il عليه السلام Aasmaani Makhlooq Mey Nida (Aawaaz) Detey Hain Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat Karta Hey. Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo. Pas Aasmaan Waaley Bhi Us Sey Muhabbat Karney Lagtey Hey. Phir Zameen Waalon (Key Dilon) Mey Us Ki Maqbooliyat Rakh Dee Jaati Hey.”

References :
📚(Sahi Bukhari, Vol : 08, Pg : 78, Kitab No :78 Kitabul Adab, Baab : Al Mikati Minalihi Taala, Hadees : 6040 )
📚(Sahi Bukhari,Vol :09, Pg : 351, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees : 7485)
📚(Sahi Bukhari,Vol : 04, Pg : 276 Kitab No 59 Kitab Baadil Khalk, Hadees : 3209)
📚(40 Hadees E Qudsi, Pg : 65, Hadees No : 24)

07/01/2017

⚠⚠⚠⚠⚠⚠⚠
High Alert
Attention plzzzzzzzzzzzzzz📢📢📢
*Ek Baar Zaroor Padhna*

🌹بسم اللہ الرحمن الرحيم🌹
الصلوتہ و السلام علیک یا رسول اللہ

Aaj Kal Ek Naya Fashion Chal Raha hai wo ye ki
*Haar koi Apne Payiche Moud Raha Hai, Chahey wo Paint ho yaa Jeans ho yaa Track ho aur Yaha thak ki Wo Pajama ko Tak nahi Chod rahey Hai 😱😱😱
*Allahu Akbar*

Aur Jab Hum unse Puchtey hai ki Akhir Tum aisa Kyu kartey ho tou Apko sirf ek hi Jawab miley Ga Ki Hadees 📗me hai
*Takhnou Ka Jo Hissa Kapdo Se Chuop Jaye Wo Jahannum Me Hoga*
Isi liye Hum aisa kartey hai

Arey Mere Bhai agar Tum ko Waqiye me Hadees aur Sunnat par Amal karna hota tou Apne Kapde Sunnat ke Mutabiq banatey......🤔🤔🤔

Ye kya Tum Jeans pehno Jis me *Sitr Ka bi Parda Nahi hota* aur Phir Paiche Moud aur kaho ki Hum Hadees par Amal Kar rahey Hai
Bhai apne Aap ko Dhoka Dena Chod do

Us Hadees MATLAB Hargiz wo Nahi Jo aap Samaj rahey Hai
Kisi Acche *Alim* se puch Lijiye ان شآ ء اللہ عزوجل wo Apko Samja dengey

Aur rahi Baat Payiche Moud ne ki
Kya Kabhi Sarkar صلی اللہ علیہ و سلم yaa ki Sahabi ne Aisa kiya

Agar Aap ye Kisi Hadees se Bata de Tou Mai Bi Kal Se Paiche Moud Na Shuro kar dounga

Aur agar Nahi Bata paye tou ye Maan Lijiye Ki *Paiche Moud Na Gumrahi Hai*
Kyu ki Jo Kaam Sarkar صلی اللہ علیہ و سلم ke Dour Yaa Sahabi ke Dour me Nahi howa Wo *Bid'at* hai Aur Har Bid'at *Gumrahi* hai 👍👍👍👍👍👍

Isi Liye Aaj se Hi Is Gumrahi wale Fitne Se Touba Kar Lijiye please

جزاک اللہ خیراہ
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Agar Is Post me Kuch Galati Mili Tou Plz Meri Islah Lijiye aur Sawab Hasil Kijiyen
Or is post ko age badhakar sawabe jariye ki haqdar baniye💦💦💦❤❤

Har raah par hum dono ek sath khade the,tu chalta tha sath mere school jate hue,bada fakar hota hai aaj mujhe tera bhai ...
05/01/2017

Har raah par hum dono ek sath khade the,
tu chalta tha sath mere school jate hue,
bada fakar hota hai aaj mujhe tera bhai kehlate hue ❤❤

05/01/2017

🌹Madani Phool🌹
Shaan-e-Ghaus-e-Azam رضی الله عنہ

Ye Wo Azeem Shaksiyat hai Jo kisi k Muhtaaz E tarruf nahi siwaye Allah Tabarakwatala Aur uske Rasool صلى الله عليه وسلم k inka tazkira karna khud hamare gunaaho ka Kaffara hai Chunki Zikr E Auliya Karna Dar Asal Quran Se Saabit hai Aur Alhamdullilah Hum Ahle Sunnat Wa Jamaat k hisse ye sadaat aayi hai.

Yehi Wo Azeem jaatein hai jinke baare me Allah Quran Me Farmata Hai
أَلا إِنَّ أَولِياءَ اللَّهِ لا خَوفٌ عَلَيهِم وَلا هُم يَحزَنونَ
“Sun Lo Beshak Allah K Waliyo Par Naa Kuch Khauf hai Na Kuch Gam”
📚(Surah Yunus Ayat 62)

‼Note‼
Sayyidna Shaykh Abdul Qadir Jilani ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ki Tarikh E Wiladat 1 Ramzan Sharif 470.
Hasab Wa Nasab : Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Walid ki Janib Se Hasani Sayyad hai Aur Walida Ki Janib Se Hussaini Sayyad Hai.

31/12/2016

Address

In Front Of Reng, Pohri Road, Bairad
Shivpuri
473551

Telephone

9981057033

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Sabban Bhai Auto Parts posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Share