10/08/2026
پٹرول گاڑیاں بھی روز خراب ہوتی ہیں، لیکن وہ روز کا معمول ہے اس لیے کوئی شیئر نہیں کرتا، نئی گاڑی کی خبر نئی ہوتی ہے اس لیے وائرل ہوتی ہے!
BREAKING NEWS ka asal sach suno!
Aaj kal har banda post kar raha hai:
"Jetour dead ho gayi" "Deepal ka bumper 14 lakh ka" "Jaecoo Babusar pe kharab"
Aur log dar ke keh rahe hain "Vezel Corolla hi theek hai"!
Dosto ek minute ruko, dil se socho!
Kya aap ne kabhi Facebook pe ye news dekhi?
"Mehran ka engine fail" "Corolla heatup ho gayi" "Civic ka gear toot gaya"?
Nahi dekhi hogi! Q?
Q ke ye roz hota hai! Har workshop mein 20 petrol gaariyan roz khari hain, engine khule hue, oil leakh ho raha hai! Lekin wo purani khabar hai, koi share nahi karta! Hum dekh ke bhi andekha kar dete hain!
Lekin nayi gaari ka chota sa software issue nayi khabar hoti hai, is liye viral ho jati hai! Log aise share karte hain jaise Qayamat agayi ho!
Asal mein kuch log nayi technology ko ghalat keh rahe hain, asal mein wo chahte hi nahi ke Pakistan mein technology aaye!
Ab suno meri baat - Jetour X70 Plus, Deepal S07, Jaecoo J7 ye koi khilona nahi, ye Future hai!
In mein wo features hain jo 3 crore ki gaari mein bhi nahi:
✅ AI Brain - Gaari khud brake lagati hai
✅ Electric - 1 liter mein 30 KM, mahine ka 90,000 ka petrol bachega!
✅ Sirf 30 parts - Na oil change, na tuning, na clutch ka kharcha!
✅ Saaf hawa - Aapke bachon ke liye behtar!
Aur petrol gaari ka sach?
❌ Mahine ka 90,000 petrol = Saal ke 9 Lakh! Is se Umrah ho jayega!
❌ 3000 parts jo roz toot-te hain, roz workshop!
❌ Dhuan jo aapke Tando Adam ki hawa gandi kar raha hai!
Ye koi mayus kun baat nahi hai, har gaari ko samajhne mein time lagta hai!
Pakistan mein pichle 25 saal se 40-50 saal purani technology chal rahi thi, ab itni modern gaariyan agayi hain to thoda time to lagega AI seekhne mein, robotics seekhne mein, electric gaariyan samajhne mein! Yahan 90% mechanic to petrol diesel ke hain, to karigari seekhne mein time lagta hai! Is mein mayusi ki kya baat hai? Aaj nahi to ek hafte mein cheez sahi ho jayegi!
Aage badhne ke liye to ye sab bardasht karna parega, agar Pakistan ko bhi zamane ke hisab se chalna hai to!
Vezel buri nahi, lekin kal thi! Future Electric ka hai!
Aap kya loge? PETROL ya FUTURE? Comment mein 1 lafz mein bolo 👇
RB MOTORS & RENT A CAR - Tando Adam
Sooch Badlo, Aagay Barho!
📞 0319-8347751