24/11/2026
🚗 Used car khareedne se pehle yeh 5 cheezein zaroor check karein:
1️⃣ Engine thanda ho tab start karwain — dhuan, awaaz aur jhatke dekhein.
2️⃣ Accident ke nishan: darwazon ke gap, paint ka farq aur chassis numbers check karein.
3️⃣ Original registration book, file aur token tax ki receipts mangein.
4️⃣ Excise & Taxation se gaari ki verification karwain ke chori ki ya kisi case mein to nahi.
5️⃣ Kisi bharose ke mechanic se inspection aur test drive zaroor karein.
Jaldi mein kabhi deal na karein — ek ghalti lakhon ka nuqsan kar sakti hai.
📩 Quetta mein car khareedni ya bechni hai? Hamein message karein.